Jaane Wale Aur Honge
Hum To Yahi Reh Jaenge
Paana Chahoge Hame Kabhi
Aas Paas Mil Jaenge
Aawaaz Doge Ek Baar
Kabr Se Bhi Uth Kar Aaenge
Mehfil Sazaa Kar To Dekho Hamaare Bagair
Joote Sar Par Tumhare Lagaenge
Ik Dosti Nibhani Sikhi Yaara
Is Daulat Ko Na U Gawaenge
Rooth Jaenge Tere Saare Dost
Kabhi Loveleen Ko Na Sang Apne Paenge
Kar Shak Na Humpe Itna Tu
Hum Roothe To Rab Bhi Na Mana Paenge …
<....................................................................>
Kuchh Mat Poochh Tujhse Pyar Kitna Karta Hoon,
Har Raat Teri Yaad Mein Aakhein Ashk Baar Karta Hoon,
Tum Bewafa Thi Jo Pyar Se Daaman Bacha Baithi,
Main Bewafa Hoon Isliye Tujhe Pyar Karta Hoon.
Kis Tarah Teri Yaadon Se Kinara Kar Loon,
Teri Judai Ke Sitam Kaise Gawara Kar Loon,
Main Tujhse Bichhoodkar Jiyoon Toh Kaise Jiyoon,
Sochta Hoon Ab Maut Ko Hi Apna Sahara Kar Loon.
<..............................................................................>
Duwa karna yaro juda ho rahe hai,
Rahi zindagi to fir aaker milenge..
Ager mergaye to duwa karte rehna,
Aansun bahane ki koshish na karna..
`
A duniya badi bewafa hai samajhna,
Kahin dil lagane ki koshish na karna.
Mere doston zindagi ek safer hai samajhna,
Kahin thaher jane ki koshish na karna.
`
Danishon ki duniya hai sari,
Alfazon ka mydan hai sara.
Zer aur zaber ko pehechan na pao,
To mydan me aane ki koshish na karna.
`
Kashti ummidon ki ger sahil na paye,
To khud dub jane ki koshish na karna.
Kadam pe andhera karegi ye duniya,
Kahin dil jalane ki koshish na karma.
`
Kabhi ro ke muskuraye , kabhi muskura ke roye,
Jab bhi teri yaad aayi tujhe bhula ke roye,
ek tera hi to naam tha jise hazar bar likha,
Jitna likh ke khush hue us se jayada mita ke roye.
`
Akela sa mehsus karo jab tanhai me,
Yaad meri aye jab judai me,
Mehsus karna tumhare karib hu me,
Jab chahe dekh lena apni hi parchai me.
`
Kadam yuhi dagmaga gaye raaste me,
Warna sambhlna hum bhi jaanthe the,
Thokar bhi lagi tho us pathar se,
Jise hum apna mante the.
`
Kaash woh samajthe is dil ki tadap ko,
Tho yun humein ruswa na kiya hotha.
Unki ye berukhi zulm bhi manzoor thi humein,
Bas ek baar humein samaj-liya hota.
`
Wo roye to bahut, par mujhse muh mod kar roye
Koi majburi hogi to dil tod kar roye
Mere samne kar diye mere tasveer ke tukde
Pata chala mere piche wo unhe jod kar roye
`
Mere khwabon mein aana aapka kasur tha
Aapse dil lagana hamara kasur tha
Aap aaye the zindagi mein pal do pal ke liye
Aapko zindagi samajh lena hamara kasur tha
______________________________________________
No comments:
New comments are not allowed.